aye shere nayastane haider - Ali Rizvi Sachay

Описание к видео aye shere nayastane haider - Ali Rizvi Sachay

Noha - aye sher-e-nayastane haider - Ali Rizvi Sachay and Team
Abbas Ay Shere Nayastane Hyder
Deti Thi Sada Zainab Rokar

Kya Isi Din Ke Liye Maangi Thi Baba Ne Dua
Aakay Pardes May Hojao Ge Tum Hum Se Juda
Sotay Ho Chayn Se Darya Ke Kanaare Bhaiya
Kya Sunayi Nahi Deti Tumhay Halmin Ki Sada
Tanha Hain Kharay Ran May Sarwar

Ay Mere Sheray Jawan Ay Mere Bhai Ho Kahan
Shaak Hai Dil Pe Mere Teri Judaai Ho Kahan
Der Se Deti Hoon Bhaiya Mai Duhaai Ho Kahan
Lut-Ti Hai Fatema Zehra Ki Kamayi Ho Kahan
Khanjar Hai Halqay Sarwar Par

Kya Isi Din Ke Liye Saath Behan Thi Aayi
Aagayi Neend Jo Darya Ki Tarayi Paayi
Phir Palat Kar Humay Soorat Bhi Nahi Dikhlayi
Aagaya Ran Se Alam Tum Nahi Aaye Bhai
Phat-Ta Hai Mera Sadmay Se Jigar

Gir Ke Ghoray Se Sada Baap Ko Akbar Ne Jo Di
Dibaray Fatema Zehra Ki Ajab Haalat Thi
Haath Maltay Thay Kabhi Ghaat Ko Taktay Thay Kabhi
Thaam Kar Tooti Kamar Kehtay Thay Farzanday Nabi
Laaun Kaise Laashay Akbar

Haal Shabbir Ka Ab Toh Nahi Dekha Jaata
Hai Kamar Kham Nahi Aankhon Se Soojhayi Deta
Ye Zaeefi Ye Jawan Laal Ka Sadma Bhaiya
Thaam Lo Barh Ke Zara Haath Tumhi Bhai Ka
Khaatay Hain Thokar Par Thokar

Bhai Ko Bhool Gaye Dhyaan Na Behno Ka Raha
Yaad Aaya Na Koi Paayi Jo Darya Ki Hawa
Haye Kis Dil Se Kiya Tum Ne Gawara Bhaiya
Har Tamachay Pe Sakina Ne Tumhay Yaad Kiya
Jab Cheenay Gaye Kaano Se Gohar

Hai Qayamat Ka Saman Loot Hai Har Simt Machi
Koyi Pursa Nahi Haalat Hai Ajab Bachon Ki
Taaziyane Koyi Khaata Hai Tamachay Koyi
Aag Daaman May Hai Masoom Sakina Ke Lagi
Bhaiya Utho Lo Jald Khabar

Chor Kar Dashtay Musibat May Behan Ko Bhai
Tumnay Acha Hi Kiya Door Basayi Basti
Dekh Saktay Thay Kahan Tum Jo Hai Halat Meri
Balwaye Aam May Bhaiya Mein Khulay Sar Hoon Khari
Aada Le Gaye Sar Se Chaadar

Комментарии

Информация по комментариям в разработке