Zikr E Qalbi Jari Hone Ki Nishaniyan

Описание к видео Zikr E Qalbi Jari Hone Ki Nishaniyan

This video is a beautiful Sufism Zikr, Zikr of the Heart motivational Zikr e Qalbi video Qalbi Zikr is Another good informative video about, Zikr E Qalbi Jari Hone Ki Nishaniyan In Urdu, And Hindi. What is Zikr e Qalbi? Zikr e Qalbi: pronunciation or Dhikr and Qalbi Zikr are in the heart. My heart spoke of remembrance of Allah in the heart. Zikr e Qalbi or Qalbi Zikr, also known as Zikr e Khafi, Secret Zikr, zikr of the heart, Silent Zikr, Daimi Zikr, and Zikr of Allah is performed Silence in your heart so that no one but Allah listens. This form of Zikr e Qalbi was practiced and taught by the saints of God (friends of God) designated by the mystic or saint. Zikr e Qlabi or Qalbi Zikr, the Dhikr is the supreme highest level name above in your heart "Allah Hoo, Allah Hoo, Allah Hoo". And what are the signs of Zikr e Qalbi, and what is the method of Zikr e Qalbi, by which the Qalbi Zikr may be issued?

-Zikr e Qalbi Jari Hone Ki Nishaniyan Kya Hain, Ya Aisa Konsa Tarika Hai Jis Se Maloom Ho Jaye Ke Qalbi Zikr Jari Ho Gaya Hai. Zikr e Qalbi Jari Hone Mein Mukhtalif Logon Ki Mukhtalif Nishaniyan Hoti Hain, No-1, Jab Kisi Ka Zikr Mein Qalb Jari Hota Hai, To Us Ko Feel Hota Hai Ke Us Ki Heartbeat Tez Ho Gai Hai, To Samjh Lein Ke Zikr e Qalbi Jari Ho Gaya Hai, Ap Ko Zikr e Qalbi Ki Ata Ho Gai Hai. No-2, Kuch Log Aise Hote Hain Ke Un Ko Dil Par Lafz "Allah" Likha Howa Nazar Aa Gaya Hai, To Un Ka Bhi Zikr e Qalbi Jari Ho Gaya Hai, Un Ko Zikr e Qalbi Ki Ata Ho Gai Hai. Aur Kuch Log Aise Hote Hain Ke Un Ko Dono Chezen Mehsos Hoti Hain, Dharkan Bhi Mehsos Hoi Aur Ism e Allah Bhi Nazar Aya, To Un Ka Bhi Zikr e Qalbi Jari Ho Gaya Hai Aur Un Ko Zikr e Qlab Ki Ata Ho Chuki Hai.

-Kuch Loge Aise Hote Hain Ke Un Ko Sirf Dil Mein Se Awaz Ati Hai Zikr Ki "Allah Hoo, Allah Hoo, Allah Hoo". To Us Ka Bhi Qalb Jari Ho Gaya Hai Yani Us Ka Zikr e Qalbi Jari Ho Gaya Hai Us Ko Zikr e Qalbi Ki Ata Ho Gai Hai, Aur Ye Sab Zikr e Qalbi Jari Hone Ki Nishaniyan Hain. Aur Kisi Ko Ye Feel Hota Hai Ke Us Ke Qalb Ke Opar Dabao Aa Gaya Hai Qalb Ke Opar Wazan Aa Gaya Hai, Ye Bhi Zikr e Qlab Jari Hone Ki Nishani Hai. Aur Kisi Ko Feel Hota Hai Ke Qalb Ke Andar Koi Chez Chub Rahi Hai, Pain Feel Hota Hai, Ye Bhi Zikr e Qalb Jari Hone Ki Nishani Hai, Is Ka Matlab Bhi Yehi Hai Ke Ap Ka Qlab Jari Ho Gaya Hai.

-Kisi Ko Zikr Karne Ke Doran Garmi Mehsos Hoti Hai, Seene Mein Garmi Aur Sakoon Mehsos Hota Hai, Is Ka Matlab Bhi Yehi Hai Ke Us Ka Zikr e Qalb Jari Hoga Hai, Aur Kisi Ko Qalbi Zikr Jarni Hone Mein Seene Mein Thandak Mehsos Hoti Hai. Kisi Ko Allah Ka Zikr Karne Ke Doran Rona Ata Hai, Ankhon Se Ansoon Nahi Rukhte Ye Bhi Zikr e Qalbi Jari Hone Ki Nishani Hai. Aur Kisi Ko Allah Ka Zikr Karne Ke Doran Roza Rasool Nazar Ata Hai, Ye Bhi Zikr e Qalbi Jari Hone Ki Nishani Hai. Kisi Ko Zikr e Qalb Lete Howe Kaaba Sharif Nazar Ata Hai, Aur Zikr Karne Ke Doran Bhi Kaaba Sharif Nazar Ata Hai, Ye Bhi Zikr e Qalbi Jari Hone Ki Nishani Hai. Kisi Ko Zikr e Qalb Lete Howe Kisi Bhi "Wali" Ya Kisi Bhi "Hasti" Ka Deedar Ho Jata Hai, Ye Bhi Zikr e Qalbi Jari Hone Ki Nishani Hai.

-Ye Sab Qalbi Zikr Jari Hone Ki Nishaniyan Hain, Ab Us Rooh Par Munashir Hai Ke Jo Rooh Zikr Lene Wali Hai Wo Kis Category Ki Hai, Usi Ke Mutabiq Us Ko Chezen Mehsos Kara Di Jati Hain. Zikr e Qalbi Jari Hone Mein Mukhtalif Logon Ki Mukhtalif Feeling Aur Nishaniyan Hoti Hain.

- Zikr e Qalbi Jari Karne Ka Tarika: Qalb Ko Jari Karna, Yani Qalbi Zikr Ko Jari Karne Ka Tarika Ye Ke Apne Dil Ki Dharkanon Ke Sath, Allah Ka Zikr Kiya Karen, Dil Ki Aik Dharkan Ke Sath "Allah" Aur Dosri Dharkan Ke Sath "Hoo" Mila Ke Parha Karen. Yani Qalb Ko Jari Karne Ke Liye Dil Ki Dharkan Ke Sath Allah Ka Zikr Karna. #ZikrEQalbi #QalbiZikr #FikarEIqbal

More Related Videos Vist For

  / fikar_iqbal  
  / advocate-zuhaib-hafeez-218700805689062  
https://www.fikareiqbal.com

Комментарии

Информация по комментариям в разработке