Sans ki Mashqen - Breathing Exercises - Breathing Exercises in Urdu

Описание к видео Sans ki Mashqen - Breathing Exercises - Breathing Exercises in Urdu

Asslam o Alailum Nazeen hum aap ko humary is channel Allah Ki Pehchan mein khush aamded kehty hain.
Sans ki Mashqen - Breathing Exercises - Breathing Exercises in Urdu
aaj hum INSHAALLAH Allah Taala ki di hui tofeeq se jis mozu par baat krein ge wo ye hai ke saans ki mashqein kia hain aur in ki muraqba mein kia ihmiyet hai. rohani aloom mein saans ki mashqun ki ihmiyet, jazbaati utaar charhao aur aesabi nazaam mein saans ki ihmiyet, rohani salahiton ka saans ke sath gehra taluq, saudi aur nazoli saans ki kefiyaat, saans ki mashqein aur tariqa kaar, ilam e rohaniyet ke mutabiq saans ke do rukh hain. aik nazoli aur dosra saudi. saans andar lena saudi rukh hai aur saans bahir nikalna nazoli rukh hai saudi rukh mein aadmi rohani kefiyaat se qareeb ho jata hai aur nazoli haalat mein kashish saqal ki tarf safar karta hai agar saans ziada der tak andar rahey ya saans andar leney ka waqfa barh jay to hum ziada der tak rohani kefiyaat se qareeb rehtey hain. rohani aloom mein muraqbey ke ilawa aesi mashqein mojud hain jo zehan ko yaksoi karney mein madad deti hain. in mashqon se manfi khiyalaat ki rohani madham par jati hai aur zehni intshaar kam se kam ho jata hai.
agar muraqbey ke sath in mashqun par bhi amal kia jay to zehan boht jald markzeyet hasil kar leta hai aur muraqbey ke asraat jaldi moratab hotey hain. yun to aesi mashqein boht si hain lekin yahan mashqein darj ki ja rahi hain jo amli lehaaz se aasan aur nataij ke aetbaar se moasar hain. Saans: jazbati utaar charhao aur aesabi nazaam mein saans boht ihmiyet rakhta hai mukhtalif jazbati kefiyaat mein saans ki harkaat alag alag hoti hain sadmein ki haalat mein saans leney mein mushkil pesh aati hai. gussa mein saans ki raftaar tez ho jati hai. zehni sakun mein saans ka andaaz bilkul mukhtalif hota hai. is waqat saans mein tawazan peda ho jata hai aur raftaar halki ho jati hai. koi cheez yaka yak aesaab par bojh ban kar warad ho to andar ka saans andar aur bahir ka saans bahir reh jata hai. rohani salahiton aur saans ka aapas mein gehra taluq hai ilam rohaniyet ke mutabiq saans ke do rukh hain. aik nazoli aur dosra saudi. saans andar lena saudi rukh hai aur saans bahir nikalna nazoli rukh hai" saudi rukh mein aadmi rohani kefiyaat se qareeb ho jata hai aur nazoli haalat mein kashish sakal ki tarf safar karta hai. agar saans ziada der tak andar rahey ya saans andar leney ka waqfa barh jay. to hum ziada der tak rohani kefiyaat se qareeb rehtey hain. agar saans ki aamad o shad khatam ho jay to humara taluq jism se manqtaa ho jata hai.
chanancha shaur mein rehtey houy la shauri hawaas mein daakhil honey ke ley saans se qataa taluq zarori nahi. lekin saans ka boht aahista hona zarori hai. is ki misaal khuwaab ya gehrey istigraaq ki kefiyet hai. in kefiyaat mein insaan saans to leta hai lekin saans ki aamad o shad ka andaaz tabdeel ho jata hai. saans ki raftaar halki ho jati hai. saans andar leney ka waqfa barh jata hai aur nikalney ke doraniye mein kami aajati hai. is ka matlab ye hua ke jab humarey uper batni hawaas ka galba hota hai to saans ki raftaar madham parh jati hai aur saans andar leney ka waqfa barh jata hai. jab is andaz e tanafus ke iradey ke sath mashaq ki jati hai.
to la shauri kefiyaat bedari mein shaur par warid hoti hain aur in ki gardish ziada waqfey tak shaur mein jari rehti hai. aalti paalti maar kar ya do zano beth jain, kamar sedhi rakhein lekin jism ke kisi hisey mein khenchao peda nahi hona chahiye, pehley dono nathnon se saans bahir nikaal dein ta phephrey hawa se khali ho jain, phir aahista aahista saans andar khenchein, jab sena hawa se bhar jay to saans ko rokey baghair honton ke raastey bahir nikaal dein, saans nikaltey huay honton ko saker kar gol daira banain, jesey siti bajatey huay banatey hain, saans andar lena aur bahir nikalna aik chakar hua, isi trah 11 chakar krein aur rafta rafta tadaad barhaa kar 21 chakar kar dein. is mashaq se phephron ki harkaat par control hasil hota hai aur saans andar leney ka doraniya barh jata hai. muraqba ke waqat saans ki raftaar halki honi chahiye.
ye baat yaad rakheye ke muraqba ke doraan saans ki raftaar ko iradey ke sath aahista na kejey. is ley zehan muraqba se hat kar saans ki aamad o shad ki tarf chala jay ga. is ka tariqa ye hai ke muraqba shoro karney se kuch der pehley aahista aahista saans andar lein aur bahir nikalein. phir muraqba mein mashgol ho jain. saans ki raftaar khud ba khud madham ho jay gi.
humey umeed hai ke aap ko humari yeh koshesh passnd aai ho gi aur agar aap ko humari yeh video passnd ay to plz esy like karin aur esy apny pyarun ke sath share karin aur humary is Channel Allah Ki Pehchan ko zrur Subscribe karin, aap ka bohat bohat shukria.
#AllahKiPehchan #ruhaniyat #ruhaniilam
******************************************************
Plz humey follow karin:

YOUTUBE:    / allahkipehchan  

TWITTER:   / allahkipehchan  

FACEBOOK:   / allahkipehchan  
******************************************************

Комментарии

Информация по комментариям в разработке