Dubai (UAE) Mushaira - rahat.ki.shayari | Dr. Rahat Indori | Rahat Indori Mushaira

Описание к видео Dubai (UAE) Mushaira - rahat.ki.shayari | Dr. Rahat Indori | Rahat Indori Mushaira

Rahat Indori Books - https://amzn.to/32vaVvN

Gulab khwab dawa zahar jaam kya kya hai
Main aa gaya hu bata intezam kya kya hai

Fakir shah kalandar imam kya kya hai
Tujhe pata nahi tera gulam kya kya hai

Ameer-e-shahar ke kuch karobar yaad aaye
Main raat soch raha tha haram kya kya hai

-

Lave diyon ki hawa me uchhalte rehna
Gulon ke rang pe tezab dalte rehna

Main noor banke zamane me fail jaunga
Tum aftab me keede nikalte rehna

-

Kabhi mehek ki tarah hum gulon se udte hain
Kabhi dhue ki tarah parbaton se udte hain

Ye kainchiyan hume udne se khaak rokengi
Ke hum paron se nahin hauslon se udte hain

-

Humne khud apni rehnumayi ki
Aur shohrat hui khudai ki

Manzilein chumti hain mere kadam
Daad dijiye shikastapai ki

Mere kamre me do parindon ne
Inteha kar di behayai ki

-

Kaam sab gair zaruri hain jo sab karte hain
Aur hum kuch nahi karte hain gazab karte hain

Aapki nazro me suraj ki hai jitni azmat
Hum charago ka bhi utna hi adab karte hain

-

Ye alag baat ke khamosh khade rehte hain
Phir bhi jo log bade hain wo bade rehte hain

Aise darveshon se milta hai hamara shijra
Jinke juton me kai taj pade rehte hain

-

Sirf khanjar hi nahin aankhon me pani chahiye
E khuda dushman bhi mujhko khandani chahiye

Maine apni khushk aankhon se lahu chhalka diya
Ek samandar keh raha tha mujhko pani chahiye

Sirf kabron ki zameenein deke mat behlaiye
Rajdhani di thi humne rajdhani chahiye

-

Unche unche darbaron se kya lena
Nange bhukhe becharon se kya lena

Apna malik apna khalik afzal hai
Aati jati sarkaron se kya lena

Sath hamare kai sunehri sadiyan hain
Humein sanichar itvaron se kya lena

Panv pasaro sari dharti apni hai
Yaar ijazat makkaro se kya lena.

-

Agar khilaf hain hone do jaan thodi hai
Ye sab dhuan hai koi aasman thodi hai

Lagegi aag to ayenge ghar kai zad me
Yahan pe sirf hamara makaan thodi hai

Main janta hoon ke dushman bhi kam nahin lekin
Hamari tarah hatheli pe jaan thodi hai

Hamare munh se jo nikle wahi sadakat hai
Hamare munh me tumhari zabaan thodi hai

Jo aaj sahib e masnad hain kal nahin honge
Kirayedar hain zati makaan thodi hai

Sabhi ka khoon hai shamil yahaan ki mitti me
Kisi ke baap ka Hindostan thodi hai

-

Nishane chook gaye sab nishan baki hai
Shikargah me khali machan baki hai

Ye aur baat ke ab khushbuyein nahin lekin
Hamare taaq me ek itradan baki hai

Phir ek bache ne lashon ke dher par chadhke
Ye keh diya ke abhi khandan baki hai

Wo bevakuf zamin bantkar bahot khush hai
Usse kaho ke abhi aasman baki hai

-

Mujhme kitne raaz hain batlaun kya
Band ek muddat se hoon khul jaun kya

Ajizi minnat khushamad ilteja
Aur main kya kya karu mar jaun kya

Tere jalse me tera parcham liye
Sekdon laashein bhi hain ginwau kya

Ek patthar hai wo meri raah ka
Agar na thukrau to thokar khau kya

Phir jagaya tune soye sher ko
Phir wahi lehja darazi aau kya

#RahatIndori #rahatkishayari

Комментарии

Информация по комментариям в разработке