Rait Pe Naqsh Bnate Howe Thak Jate Hain | Mubarak Siddiqui | Deep Lines Status

Описание к видео Rait Pe Naqsh Bnate Howe Thak Jate Hain | Mubarak Siddiqui | Deep Lines Status

Sad Urdu Poetry Written by Mubarak Siddiqui
Recital Ahsan Shakeel

Ret pe naqsh banate hue thak jate hain

Khwab aankhon mein sajate hue thak jate hain

Yun hi qabron mein nahin soe thake haare badan

Log duniya se nibhate hue thak jate hain

Zindagi pyas ka sahra hai jahan qaid hain hum

Aur hum pyas bujhate hue thak jate hain

Mehrban koi nahin shahr mein ek tere siwa

Yun to hum hath milate hue thak jate hain

Chhod jate hain wahi log kade waqt mein kyon

Hum jinhen apna batate hue thak jate hain

Daste rahte hain kai log yahan sanp-mizaj

Aur hum zakhm chhupate hue thak jate hain

Laut aao na kisi roz ai jaane walo

Hum gham-e-hijr chhupate hue thak jate hain

Un ke sinon mein bhi hote hain talatum gham ke

Wo jo auron ko hansate hue thak jate hain

Zindagi aur tera qarz chukaen kab tak

Ab to hum sher sunate hue thak jate hain

Subscribe To Our Channel For More Videos

►► Facebook :   / kitabemaazi  
►► Instagram :   / kitabemaazi  
►► Twitter :   / kitabemaazi  

For Business inquiry or Fan Mail
Call or WhatsApp: +92 331 4872455

Copyright Disclaimer Under Section 107 of the Copyright Act 1976, allowance is made for "fair use" for purposes such as criticism, comment, news reporting, teaching, scholarship, and research. Fair use is a use permitted by copyright statute that might otherwise be infringing. Non-profit, educational or personal use tips the balance in favor of fair use.

Комментарии

Информация по комментариям в разработке