कभी बहुत ख़ुश कभी बहुत उदास || Bipolar disorder क्या है? (depression & mania) ||

Описание к видео कभी बहुत ख़ुश कभी बहुत उदास || Bipolar disorder क्या है? (depression & mania) ||

Course ko join karne ke liye iss link par click karein- https://courses.mindsolves.com/course...

कभी बहुत ख़ुश कभी बहुत उदास || Bipolar disorder क्या है? (depression & mania) || #drpraveentripathi

bipolar disorder kya hai, bipolar disorder mein kya hota hai, do i have bipolar disorder, bipolar disorder ka treatment kya hai, bipolar disorder ka ilaaj kya hai, bipolar disorder kaise theek hota hai



For appointments at Renowa Care, call - 9013821178, 9818083017

Depression course: Depression se bahar nikalne ke liye ab aap Dr. Praveen Tripathi ka course ko join kar sakte hain jismein khud se CBT techniques (cognitive behavioral therapy) ko use karna sikhaya jata hai

00:00 Bipolar disorder kya hota hai?
00:26 Bipolar disorder me depression aur mania ke episodes hote hain
00:52 Mania (unmaad) kya hota hai?
01:28 Mania ke lakshan kya hain?
04:46 Bipolar Disorder hone ke kya karan hain?
05:53 Bipolar disorder ka treatment kya hai?
09:26 Depression se bahar kaise aayen - CBT Therapy ki madad se

#bipolardisorder #drpraveentripathi #depression #viral #trending

Bipolar disorder kya hota hai? Bipolar disorder ke lakshan kya hote hain? Mania kise kehte hain? Mania ke episode me kya lakshan hote hain? Depression kya hota hai? Depression ke lakshan kya hote hain? Mania ka ilaaj kaise kiya ja sakta hai?

Iss video me Dr. Praveen Tripathi ne Bipolar Disorder ke baare me bataya hai. Bipolar Disorder ek mansik bimari hai jisme patient ko 2 tarah ke episodes hote hain. Ek Depression ka episode hota jisme patient ko udaasi mehsoos hona, kisi kaam me mann na lagna, shareer me kamzori hona, negative vichaar aana, neend aur bhook me distubance hona- iss tarah ke lakshan hote hain. Aisa episode kuch mahino tak chal skta hai aur kuch samay baad thik ho jata ha. Issi tarah ek doosra episode bhi ho sakta hai jise hum Mania kehte hain. Mania ko tezi ya unmaad bhi keh sakte hain. Mania me patient ka dimaag zyada tezi se kaam karne lagta hai, mood zyada khush ya zyada chidchida rehne lagta hai, patient ke andar zyada energy feel hoti hai, activities badh jaati hain, patient zarurat se zyada kaam le lete hai, patient zyada bolne lagta hai, badi badi baatein karne lagta hai, risky kaam karne lag jaate hain, patient ki neend kamm ho jaati hai, unhe neend ki zarurat mehsoos nahi hoti. Iske alawa patient zada pooja paath karne lagta hai ya zada sajne sawarne lagta hai. Agar aise lakshan lagbhag 7 din tak bane rahein to usse Mania ka episode kehte hain.
Bipolar disorder hone ke kai kaaran ho sakte hain jaise genetic kaaran, ya brain me dopamine ke levels me imbalance hona, nashe ke kaaran ya kisi tanaav ke kaaran.
Bipolar disorder ka treatment bahut zaruri hai kyuki jitne zyada episodes hote hain, utne zyada aur episodes hone ki sambhaavna badh jaati hai. Jitna jaldi treatment karaya jaaye utna acha lambe samay me result milta hai. Bipolar disorder ke ilaaj ke liye psychiatric dawaaiyo ka treatment bahut he successful paaya gaya hai. Dawaaiyo ki madad se mania aur depression, dono episodes ka ilaaj kia ja sakta hai. Bipolar disorder ka treatment thode lambe samay tak chalta hai, isliye zaruri hai ki apne psychiatrist par bharosa karein aur kuch bhi doubt ho to khud dawaai band karne ke bajaye doctor se discuss karein.

Комментарии

Информация по комментариям в разработке